Sunday, 21 October 2018

How To make Driving Licence Car / bike 2018 full process

How To make Driving Licence Car / bike 2018

Hello dosto,

Bhailog ye title dekh k aap samjh chuke honge ki ye kis chiz pe mai post kiya hu or aapka matlab bhi yhi hoga shayad to is post ko last tak read kro jyada bada mai likhta bhi nhi hu ki apko boring lage to pura read kro or acche se smjh lo kya kya karna padega apko dl k liye jo mai face kia wo bataunga-Dosto DL k liye Apko DOCUMENTS me Aadhar Card Lagega usi per apka apply ho jaayega-Bhailog DL k liye Apply aap tab hi kare jab apko gaadi chalani aati ho agar nhi bhi ata to bhi banta hai but accha hoga aap pahle sikh lo kahi apko drive ko bole to apko drive karni pad sakti hai.


  


DL apply aap online kar sakte hai agar aap net-banking karte ho to ya aap cyber cafe se bhi online apply karwa sakte form apply hone k baad apko ek test dena hoga agar aap test fail hote ho to phir apko apply karwana padega waise ye test bhot hard nhi hai 15 questions milega apko 30sec 1 question pe milega apko jawab dena hoga computer pe ya oral isme apko bike & traffic rule sign se related ques milega to aap easily pass karloge bas apko sabhi chizo ko ek baar read krr k jana hoga.

DL ka test form apply hone k baad apko exam date mil jaayega 15days k ander date bolna apply karnwate time phir us date pe RTO Office jaake test dena hoga uske 10 days me apko LL milega learning license uske baad 20-30 days me apko apka DL complete mil jaaayega aap kahi bhi drive krr sakte ho phir to test k saare question apko YouTube ya apps me mil jaayegi ek baar read kar lena.

DL form apply karne ki government fee hai 350rs. ek aadmi ka to aap aaply karwa lo ya khud karlo.

DL apko post-office ya apke home pe milega nhi aaye to aap status check karwa lena online apko mil jayega easily ye saare chiz mere saath hua hai isliye mai ye post type kiya jisse aapke doubt clear ho.

Driving Licence Apply karne ki age 18 yaer hai agar aap 18+ hai to DL k liye Apply kare nahi to apka ye hone wala nahi hai to is baat ko yaad rakhna ok to apko ye post agar accha laga ho to share karo social media pe apne dosto k saath jinko iski jarurat hai jo dl k baare me soch rahe hai.


Thank You !

Tuesday, 16 October 2018

Redmi 5 kya ye best hai budget me

 Redmi 5 kya ye best hai budget Category me

Hello friends,
Aaj ye post  aapke confusion ko dur karne k liye hai aap log sochte ho under 10k me kon sa phone best hai jisme ye redmi5 bhi hai ye company india me trend kar rahi hai iske products budgets me kaafi acche hote hai isliye to aapko mai redmi-5 k baare me kuch apne opinions dunga jo mai ise khood use karta hu personally to is post ko end tak read karlo bakwass bilkul nhi hai only fact hai pura read kro bhailog.





1. dosto ye phone 2018 k june ya july me hi launch hua hai jo latest launch list aata hai 2018 me jitne phone launch hue sb kaafi had tak best aa rahe hai ab phle k mukabale to ye acchi baat hai redmi to already super best hai to baat shayad aap jante ho nhi jante ho isliye bata diya

2. Ye phone 2 varients me aata hai 2-16GB 3-32GB  jiski price 7,999Rs. 9,000Rs. Ye phone indian market me kaafi jyada bika hai pichle kuch mahino me jiska ek user mai khood hoo to dosto ye phone mai pichle 2 months se use kar raha hu or mai iska 3-32Gb wala varient buy kia hai jo mujhe market me 9,500rs k karib pada hai is phone k 4 color varients hai aap jo man kare buy karlo apki marzi.

3. Ye phone jo mai 2 months se use kar raha hu mai apna opinion btaau to ye phone mujhwe kaafi pasand aaya hai is price me full fetchers sabhi phone brand nhi dete xiaomi k phone maine uper bhi btaya kaafi best hota hai iski build quality kaafi acchi h mai 3-4 baar gir chuka h firbhi koi effect nhi hua majboot phone hai sabhi chizo me mujhe ye best laga aap kharid lo befiker hoke Iska display gajab ka hai glass bhi best hai achha protection deta hai display ki quality best hai.

  • DISPLAY- 5.7 inch HD+
  • Camera- 12mp back front 5mp
  • Battery- 3300
  • Processor-  Octa-Core Snapdragon 450
  • RAM- 3GB/32  2GB/16 
  • OS- Android 7.0
  • Sensors- All Type
  • weight- 157g

To kuch specification apko uper me de diya hu baaki aap online website jaha se aap isko buy karoge uspe full details me mil jaayega mai is phone ko pasad kiya or mere 4 dost bhi isko use karte hai.

GAMING-  bhailog agar aap isko games k liye lena chahte ho to befikr lo ye gaming me bhi super best hai isme snapdragon ka 450 processor mil raha hai 3GB ram bhi jo kaafi best or smooth gaming perfomance deta hai aap high graphic games ko easily play kar sakte ho ye gaming me bhi best hai.

BATTERY- bhailog battery ka tension mat lo battery aaram se ek din ka backup deti hai.

CAMERA- 12mp back camera hai photo best quality ka aata hai focus bhi achha hai iska or flash night me bhi acchi photo deta hai do flash apko mil jata hai isme front back dono side me ye best hai.

  • 2-16GB 7,999rs.
  • 3-32GB 9,000rs 
Dosto Mai apko iske baare me Sabhi baato ko share kar diya hu aapko kuch doubt hai to plz comment karo iska reply mai jald se jald dene ki koshis karunga or Ye phone aap Befikr lelo mujhe ye kafi achha laga mujhe accha performance milta hai to i'm happy with Redmi-5


Thank YOU !